Tuesday, April 22, 2014

Sab raaste dushman hue ashjar mukhalif

Sab raste dushman hue ashjar mukhalif
mera hua hai to hue yaar mukhalif

bunyad rakhun koi to bunyad hai dushman
deewar uthata hu'n to deewar mukhalif

hathon main utha lete hain ozan ke pathar
sunte hi nahi hain mere ashaar mukhalif

main ishq ko hamdard samajh betha tha yara
lagte na thay is beher ke aasar mukhalif

du'n jaan to qurbani samajhta nahi koi
gar thora sanbhalta hu'n to ghar bar mukhalif

is sheher ko sach sunne ki aadat hi nahi hai
lagte hain sabhi ko mere afkaar mukhalif

suntay thay ke bas hote hain agyaar mukhalif
mere to nikal aaye hain sab yaar mukhalif

jo baat bhi ho dil main chupata nahi farhat
har roz bana leta hu'n do char mukhalif
'Farhat abbas shah poetry'
farhat abbas shah poetry images
farhat abbas shah poetry

No comments:

Post a Comment