Friday, April 18, 2014

Dard ke naghme baras gaye

Tootay hue sitaar ke sab taar kas gye
barish hui k dard ke naghme baras gye

kesi siyaah raat thi dehleez par khari
wo muskara diye to ujalay baras gye

shadabion ke dor ka anjam ye hua
ab ke to boond boond ko darya taras gye

ab khaak ur rahi hai gulabo'n ke sheher mein
wo loo chali hai ab ke ke pathar jhulas gye

ghar se khuloos kia gaya sab kuch chala gaya
bato'n mein ras nahi raha haatho'n ke jas gye

aalam nein intakhab thay kuch log sheher mein
koi to kuch bataye kaha'n jake bas gye
'Bashir badr-Urdu shayari'
bashir badr poetry in urdu hindi
Bashi badr poetry

No comments:

Post a Comment