Friday, November 2, 2018

loTa rahi hoti hai

Kabhi kabhi aisa hota hai ke zindagi har woh cheez Aap ko
loTa rahi hoti hai jo kabhi aap se chhin gai thi bishamol Mohabbat ke
lakin aap be-niyaz ho chuke haote hain....
(Bano qudsia)

کبھی کبھی ایسا ہوتا ہے کہ زندگی ہر وہ چیز آپ کو
لوٹا رہی ہوتی ہے جو کبھی آپ سے چِھن گئی تھی بشمول محبت کے
لیکن آپ بے نیاز ہو چکے ہوتے ہیں۔
بانو قدسیہ

Friday, October 19, 2018

Ghareeb ki aah se daro

Ameeron se na Daro balke Ghareebon ki Aah se Daro
iss liye k agar ameer bhage ga to woh hakim k darwaze
par jaye ga aur agar ghareeb ne aah bhar li to woh ALLAH TAA'LA
k darwaze ko khaTkhaTay gi

امیروں سے نہ ڈرو بلکہ غریبوں کی آہ سے ڈرو اس لئے کہ
اگرامیر بھاگے گا تو وہ حاکم کے دروازے پر جائے گا اور اگر
غریب نے آہ بھر لی تو وہ اللہ تعالیٰ کے دروازے کو کھٹکھٹائے گی۔

Sunday, October 14, 2018

Sheeren kalam aur narm zuban

Sheeren kalam aur narm zuban insan ke
gusse ki aag par pani ka sa asar rakhti hai
---Shaikh saadi---

شیریں کلام اور نرم زبان انسان کے غصے کی آگ
پر پانی کا سا اثر رکھتی ہے۔
شیخ سعدیؒ

Jaisi karni waisi bharni

Baap chahta hai k faraib, zulm aur dhoke se tamam duniya ki
daulat samaiT lu'n magar baiTa muntazir hai k baap wafat paey
aur mein sari Daulat pe qabza kar lu'n....

باپ چاہتا ہے فریب ظلم اور دھوکے سے دنیا کی دولت سمیٹ لوں
مگر بیٹا منتظر ہے کہ باپ وفات پائے اور میں ساری دولت پہ قبضہ کر لوں۔

Lafz hamesha Be-zaiqa hote hain

Lafz hamesha Be-zaiqa hote hain
Inhein lehjey hi talkh ya meeTha banate hain...

لفظ ہمیشہ بے ذائقہ ہوتے ہیں انہیں لہجے ہی میٹھا یا تلخ بناتے ہیں۔

Wednesday, June 21, 2017

Mera rab kitna azeem hai

koi kitna hi gunehgar kiyon na ho Allah Pak uss ke liye
dua ka rasta aur rizq ka darwaza kabhi band nahi karta,
Mera rab kitna azeem hai,Ghafoor ur raheem hai...
'Anmol batain in urdu'

کوئی کتنا ہی گنہگار کیوں نہ ہواللہ پاک اُس کے لیے
دعا کا راستہ اور رزق کا دروازہ کبھی بند نہیں کرتا
میرا رب کتنا عظیم ہے، کتنا غفورالرحیم ہے۔
urdu aqwal-e-zareen, urdu batein facebook- anmol batein
Anmol moti in urdu