Baad muddat usse dekha logo
Wo zara bhi nahi badla logo
Khush na tha mujh se bichar ker
Uss kay chehrey per likha tha logo
Uss ki ankhien bhi kehe deti thien
Raat bhar wo bhi na soya logo
Ajnabi bann kay jo guzzra hai abhi
Tha kissi waqt mein apna logo
Dost tou khair koi kiss ka hai
Uss ne dushman bhi na samjha logo
Raat wo dard meray dil mein utha
Subah tak chain na aaya logo
Piyas sehraon ki phir teez hui
Abbr phir toot ker barsa logo
'poetry by Parveen Shakir'
Wo zara bhi nahi badla logo
Khush na tha mujh se bichar ker
Uss kay chehrey per likha tha logo
Uss ki ankhien bhi kehe deti thien
Raat bhar wo bhi na soya logo
Ajnabi bann kay jo guzzra hai abhi
Tha kissi waqt mein apna logo
Dost tou khair koi kiss ka hai
Uss ne dushman bhi na samjha logo
Raat wo dard meray dil mein utha
Subah tak chain na aaya logo
Piyas sehraon ki phir teez hui
Abbr phir toot ker barsa logo
'poetry by Parveen Shakir'
Parveen shakir urdu poetry |
No comments:
Post a Comment