Dukh fasana nahi k tujh se kahen
dil bhi mana nahi, k tujh se kahen
aaj tak apni bekali ka sabab
khud bhi jana nahi k tujh se kahen
be tarah haal-e-dil hai aur tujh se
dostaana nahi ke tujh se kahen
ek tu harf-e-aashna tha magar
ab zamana nahi ke tujh se kahen
qaasid hum faqeer logo'n ka
ik thikaana nahi ke tujh se kahen
ae khuda dard-e-dil hai bakhshish-e-dost
aab-o-dana nahi ke tujh se kahen
"Ahmad Faraz Poetry"
dil bhi mana nahi, k tujh se kahen
aaj tak apni bekali ka sabab
khud bhi jana nahi k tujh se kahen
be tarah haal-e-dil hai aur tujh se
dostaana nahi ke tujh se kahen
ek tu harf-e-aashna tha magar
ab zamana nahi ke tujh se kahen
qaasid hum faqeer logo'n ka
ik thikaana nahi ke tujh se kahen
ae khuda dard-e-dil hai bakhshish-e-dost
aab-o-dana nahi ke tujh se kahen
"Ahmad Faraz Poetry"
No comments:
Post a Comment