Saturday, August 31, 2013

Qasam to kha li hai tum ne

Qasam to kha li hai tum ne
mujhe kabhi na yaad karne ki
magar mein janta hu
tum mujhe kabhi na bhula sako gi
din bhar hanste khelnay rehnay mein shayad
meri yaad na aye tumhen !
magar suno---!
subah jab aankh khulay tumhari
to takiye par
phelay hue apne kajal ko
chhupa liya karna
ke koi jan na sake
tum raat der tak roti rahi ho
meri yaad mein !!
'Urdu Shayari sad'
sad urdu poetry

No comments:

Post a Comment