Saturday, October 26, 2013

khulay gi uss nazar pe chashm-e-tar

khulay gi uss nazar pe chashm-e-tar aahista aahista
kiyaa  jata hai paani  mein safar aahista aahista

koi zanjir phir vaapas vahin par le ke aati hai
kathin ho raah to chhut'taa hai ghar aahista aahista

badal dena hai rasta ya kahin par baith jaana hai
ke Thakata ja raha hai hamsafar aahista aahista

Khalish ke saath is dil se na meri jaaN nikal jaaye
khinche tir-e-shanasai magar aahista aahista

hawa se sar_kashi mein phool ka apna ziyaaN, dekha
so jhukta ja raha hai ab ye sar aahista aahista
'Parveen shakir urdu poetry'
parveen shakir urdu poetry
Parven Shakir poetry

No comments:

Post a Comment