Saturday, January 4, 2014

Baja ke aankhon mein neendo ke silsile

Baja ke aankhon mein neendo ke silsile bhi nahi
shikast-e-khwab k ab mujh mein hosley bhi nahi

nahi nahi ye khabar dushmano ne di ho gi
wo aaye aake chale bhi gaye mile bhi nahi

ye kon log andheron ki baat karte hain
abhi to chand teri yaad ke dhaley bhi nahi

abhi se mere rafu gar ke haath thakne lage
abhi to chaak mere zakham ke siley bhi nahi

khafa agarchey hamesha huwe magar ab ke
wo barhami hai ke humse unhen gilley bhi nahi
'Parveen shakir Shayari'
بجا کہ آنکھوں میں نیندوں کے سلسلے بھی نہیں
شکستِ خواب کے اب مجھ میں حوصلے بھی نہیں

نہیں نہیں یہ خبر دشمنوں نے دی ہو گی
وہ آئے آ کے چلے بھی گئے ملے بھی نہیں

یہ کون لوگ اندھیروں کی بات کرتے ہیں
ابھی تو چاند تیری یاد کے ڈھلے بھی نہیں

ابھی سے میرے رفوگر کے ہاتھ تھکنے لگے
ابھی تو چاک میرے زخم کے سِلے بھی نہیں

خفا  اگرچہ      ہمیشہ    ہوئے    مگر    اب    کہ
وہ برہمی ہے کہ ہم سے اُنہیں گِلے بھی نہیں
(پروین شاکر اردو شاعری)

No comments:

Post a Comment