Nishani koi to ab ke safar ki ghar lana
takaan paon kiaur titliyon ke par lana
mein likh rahi hoon kahani teri rifaqat ki
jo ho sake to koi harf-e- motabar lana
yahi na ho ke musalsal wafa thaka dale
mohabbato'n mein nayya pan talash kar lana
safar ke shoq mein chal to paray ho tum ghar se
dukho'n ki gard se daman na apna bhar lana
jo kohe qaaf chale ho to chand chehron ka
mujasma koi acha talash kar lana
'Noshi gilani shayari'

نشانی کوئی تو اب کہ سفر کی گھر لانا
تکان پاؤں کی اور تتلیوں کے پر لانا
میں لکھ رہی ہوں کہانی تری رفاقت کی
جو ہو سکے تو کوئی حرفِ معتبر لانا
یہی نہ ہو کہ مسلسل وفا تھکا ڈالے
محبتوں میں نیا پن تلاش کر لانا
سفر کے شوق میں چل تو پڑے ہو تم گھر سے
دکھوں کی گرد سے دامن نہ اپنا بھر لانا
جو کوہِ قاف چلے ہو تو چاند چہروں کا
مجسمہ کوئی اچھا تلاش کر لانا
نوشی گیلانی-اردو شاعری
No comments:
Post a Comment