Tuesday, February 4, 2014

Meri aankhon ko soojhta hi nahi

Meri Aankhon Ko Soojhta Hi Nahi
Ye Muqadar Mein Raasta Hi Nahi

Wo Bharey Sheher Mein Kisi Se Bhi
Mere Baaray Mein Poochta  Hi  Nahi

Phir Wohi Shaam Hai Wohi Ham Hain
Haan Magar Dil Mein Honsla  Hi  Nahi

Ham Chale Uski Bazm Se Uth Kar
Aur  Wo Hai  Ke Rokta Hi    Nahi

Dil Jo Ik Dost Tha Magar Wo Bhi
Chup Ka Pathar Hai Bolta Hi Nahi

Mein To Uski Talash Mein Gum Hun
Wo Kubhi Mujh Ko Dhundta Hi  Nahi
'Noshi gilani urdu poetry'
 میری آنکھوں کو سُوجھتا ہی نہیں
یا مقدر میں راستہ ہی نہیں

وہ بھرے شہر میں کسی سے بھی
میرے بارے میں پوچھتا ہی نہیں

پھر وہی شام ہے وہی ہم ہیں
ہاں مگر دل میں حوصلہ ہی نہیں

ہم چلے اُس کی بزم سے اُٹھ کر
اور وہ ہے کہ روکتا ہی نہیں

دل جو اک دوست تھا مگر وہ بھی
چپ کا پتھر ہے بولتا ہی نہیں

میں تو اُس کی تلاش میں گُم ہوں
وہ کبھی مجھ کو ڈھونڈتا ہی نہیں
(نوشی گیلانی اردو شاعری)

No comments:

Post a Comment