Wednesday, March 26, 2014

Yunhi be sabab na phira karo

Yunhi be sabab na phira karo koi sham,ghar bhi raha karo
woh ghazal ki sacchi kitab hai, usse chupke chupke parha karo

Koi haath bhi na milaega, jo gale milo ge tapaak se
ye naye mizaj ka sheher hai zara faslay se mila karo

abhi raah mein kai mor hain koi ayega koi jaeyga
tumhen jis kisi ne bhula dya usse bhoolne ki dua karo

mujhe ishtehar si lagti hain ye mohabbato'n ki kahaniyan
jo kaha nahi wo suna karo jo suna nahi wo kaha karo

kabhi husan parda nashee'n bhi ho zara aashqana libas mein
mein jo bun sanwar ke kahin chalu mere saath tum bhi chala karo

nahi be hijaab wo chand sa ke nazar ka koi asar na ho
usse itni garmiye shoq se badi der tak na taka karo
'Bashir badr Urdu Shayari'
Bashir badr urdu poetry
Bashir badr

No comments:

Post a Comment