Gulab chehre pe muskurahat
chamakti aankhon Main Shokh Jazbe
wo jab bhi college ki siriyon se
saheliyonko liye utarti
to aese lagta tha jese dil mein utar rahi ho
kuchh is tayaqun se baat karti thi jese dunya
ussi ki aankhon se dekhti ho !
wo apne raste mein dil bichhati hui nigahon se hans ke kehti
tumhare jese bohat se larkon se mein ye baaten
bohat se barson se sun rahi hun
mein sahilon ki hawa hun neele samandron ke liye bani hun,
wo sahilon ki hawa si larki
jo rah chalti to aese lagta tha jese dil mein utar rahi ho
wo kal mili to ussi tarah thi
chamakti aankhon Main Shokh Jazbe Gulab chehre pe muskurahat
ke jese chandi pighal rahi ho
magar jo boli to uske lehjay mein wo thakan thi !
ke jaise sadyon se dasht-e-zulmat mein chal rahi ho
'Amjad islam amjad poetry'

Amjad islam amjad |
No comments:
Post a Comment