Sunday, May 4, 2014

Mujh se juda ho jana

Beniyaz-e-gham-e-paimaan-e-wafa ho jana
tum bhi auron ki tarah mujh se juda ho jana

mein bhi palkon pe sajaon ga lahu ki boonden
tum bhi paabastay-e-zanjeer-e-hina ho jana

garchey ab qurb ka imkaan hai bohat kam phir bhi
kahien mil jayen to tasweer numma ho jana

sirf manzil ki talab ho to kahan mumkin hai
doosron ke liye khud aabla paa ho jana

khalq ki sang zani meri wafaon ka silla
tum to massom ho tum door zara ho jana

ab mere wastay taryaq hai alhad ka zeher
tum kisi aur pujaari ke khuda ho janaa
'Ahmed faraz poetry in urdu'

No comments:

Post a Comment