Monday, June 30, 2014

Uss ne kuch nahi seekha

Koi bhi insaan 'dunya ke sare uloom
seekh le' agar ussne 'apne rab ko nahi
pehchana' to uss ne kuch nahi seekha
'Urdu Danayi ki batain'
Danayi ki batain urdu facebook
Danayi ki batain images

Friday, June 27, 2014

Wo baat baat mein Itna badalta jata hai

Wo Baat Baat Mein Itna Badalta Jata Hai
Ke Jis Tarha Koi Lehja Badalta Jata Hai

Ye Aarzu Thi K Hum uss K Saath Saath Chalein
Magar Wo Shakhs To Rasta Badalta Jata Hai

Rutein Wisaal Ki Ab Khawab Hone Wali Hain
Ke uss Ki Baat Ka Lehja Badalta Jata Hai

Raha Jo Dhop Mein Sar Par Mere Wahi Aanchal
Hawaa Chali Hai To Kitna Badalta Jata Hai

Wh Baat Kar Jise Dunya Bhi Moatbar Samjhe
Tujhe Khabar Hai Zamana Badalta Jata Hai
'Noshi gilani urdu poetry'
urdu poetry of noshi gilani
Noshi gilani shayari

Monday, June 23, 2014

Dua mangte raho

Dua mangte raho kyonke mumkin aur
namumkin hamari soch mein hai allah taa'la
ke liye kuch bhi namumkin nahi
"Hazrat ali islamic urdu aqwal"
aqwal e zareen in urdu
Aqwal e  zareen in urdu

Saturday, June 21, 2014

Apna sar buland rakho

Apna sar buland rakho ke tum kisi se nahi darte
Lekin Apni nighahaen neeche rakho ke tum 'ba-izzat
gharane se taaluq rakhte ho....Hazrat imaam hussain
'aqwal e zareen'
islamic urdu aqwal e zareen
Aqwal e zareen images

Thursday, June 19, 2014

Meri bhegi bhegi Palkein

Meri bhegi bhegi
Palkein!
Surkh surkh 'roti hui
Matoram aankhen'
Yeh wazey na kar de'n ke
Tu ne 'mujhe jo dukh diye
Woh aansoo ban kar tujh par
Mere is jazbay ko ayyan na kar de'n
Ke mein ne tujhe Toot kar chaha tha...!
"Aansoo urdu poetry"

Saturday, June 14, 2014

Kabhi Aansoo Kabhi Khushi Bechi

Kabhi Aansoo Kabhi Khushi Bechi
Hum Gareebo'n ne bekasi Bechi

Chund Saansen khareedne k liye
Roz thori si zindagi Bechi

Jab rulane lage mujhe saaye
Mein ne ukta ke roshni Bechi

Ik hum thay ke bik gaye khud hi
wagarna dunya ne dosti Bechi
"Aansoo urdu poetry"

Wednesday, June 11, 2014

Khud ko Akhlaqi tor par

Khud ko Akhlaqi tor par sanwarney mein
Itna waqt zaroor surf karo ke tumhain
Doosron par tanqeed karne ki fursat na mile..
'urdu aqwal e zareen'
aqwal e zareen
Aqwal e zareen

Thursday, June 5, 2014

Tere bin jab bhi ho gai barish

Tere bin jab bhi ho gai barish
meri aankhen bhigo gai barish

patta patta chaman ka khushk huwa
reg zaron mein kho gai barish

Jab bhi dekha udaas udaas mujhe
Haal par mere ro gai barish

Aaj fitrat ke sabz jorey mein
Motiyon ko pirro gai barish

Raat bhar jangalon se larti rahi
Aakhir thak ke so gai' barish

Aaj phir youn huwa ke toba ko
Jaam-e-mey mein dubbo gai barish

Dil ki banjar zameen mein shahid
Khwaab ki fasal ho gai barish
'Barsat urdu shayari'
barsaat urdu poetry