Thursday, June 5, 2014

Tere bin jab bhi ho gai barish

Tere bin jab bhi ho gai barish
meri aankhen bhigo gai barish

patta patta chaman ka khushk huwa
reg zaron mein kho gai barish

Jab bhi dekha udaas udaas mujhe
Haal par mere ro gai barish

Aaj fitrat ke sabz jorey mein
Motiyon ko pirro gai barish

Raat bhar jangalon se larti rahi
Aakhir thak ke so gai' barish

Aaj phir youn huwa ke toba ko
Jaam-e-mey mein dubbo gai barish

Dil ki banjar zameen mein shahid
Khwaab ki fasal ho gai barish
'Barsat urdu shayari'
barsaat urdu poetry

No comments:

Post a Comment