Thursday, May 29, 2014

Guzar gaya jo zamana usay bhula hi do

Guzar gaya jo zamana' usay bhula hi do
jo naqsh ban nahi sakta 'usay miTa hi do'

khule ga terk-e-taaluq ke bad baab-e-fana
yeh ek aakhri pardaa bhi ab uthaa hi do

ruki ruki si hawa hai thaka thaka hai chand
wafa ke dusht main hairan khare hain rahi do

guzar raha hai jo lamhaa usay ammar kar len
main apne khoon se likhta hun tum gawahi do

kisi tarah se taghaful ka baab-e-shaq to khule
nahi main pyar ke qaabil to kuch sazaa hi do

mein kaeynaat ko tum se nijaat de du ga
meri girraft mein ik din agar tabaahi do
'Amjad islam amjad Poetry'
amjad islam amjad urdu poetry
Amjad islam amjad

No comments:

Post a Comment