Har ik chiragh ki low aesi soi soi thi
Wo shaam jaise kisi se bichar k roi thi
naha gaya tha mein kal jugnuwo ki barish mein
wo mere kandhe pe sar rakh k khoob roi thi
qadam qadam pe lahoo k nishan kaise hain
ye sar zameen to mere aansouwn ne dhoi thi
makaan ke sath wo poda bhi jal gaya jis mein
mehekte phool the phoolon mein ek titli thi
'Bashir badar Poetry'

Bashir badr poetry |
No comments:
Post a Comment