Tuesday, July 1, 2014

Tareef ke jaal mein

Suno ! 'khuda ne be-shumaar makhlooqaat peda ki hain'
aur har makhlooq ko 'zer kane ka tareeqa bhi mukhtalif hai,
'darindey pakarne k liye' usse 'shikar karte hai' 'parindey ko
aseer karne k liye dana Dalte hin,aabi janwar ko phansne k
liye jaal Dalte hain,lekin 'ashraf ul makhlooqaat k liye' 'tareef
ka ek jumla hi kaafi hai'.aur suno har makhlooq aseer ho kar
'aazadi chahti hai' magar ye adam zad 'tareef k jaal mein' qed
ho kar' kabhi aazadi nahi chahta' lehaaza ab tum qyamat tak usse
isi hathyar se zer karte raho ge...
(Munawara Noori Khaleeq ke novel "Aazmaish" se iqtebaas)
'Urdu Iqtebasaat'
iqtebasaat in urdu
Best urdu Iqtebasaat

No comments:

Post a Comment