Ab kis se kahen aur kon suney jo haal tumhare baad huwa
Is dil ki jheel si aankhon mein ik khuwab bohot barbad huwa
Ye hijar hawa bhi dushman hay us naam ke saare rangon ki
Wo naam jo mere honton per khushbu ki tarah aabad huwa
Us sheher ke kitne chehre thay kuch yaad nahi sab bhool gaye
ik shakhs kitabon jaisa tha wo shakhs zubani yaad huwa
Wo apne gaon ki galyan thi dil jin mein nachta phirta tha
Ab is se farq nahi parta nashaad huwa ya shaad huwa
Be-naam staish rehti thi in gehri sanwli aankhon mein
Aisa to kabhi socha bhi na tha dil ab jitna be-daad huwa
'Noshi gilani urdu shayari'

urdu poetry of noshi gilani |
No comments:
Post a Comment