Thursday, December 25, 2014

Honi se kya Darna

'Honi se kya Darna'
Ek shakhs mallah k saath kashti mein safar kar raha tha
samandar mein khofnak lehrain kashti k sath zor zor se
Takra rahi thi. Aadmi ne mallah se sawal kya kya tumhain
kashti chalate hue khof mehsoos nahi hota? mallah ne jawab
dya nahi! aadmi ne phir pucha tumhare baap ki wafat kaise hui?
mallah ne jawab dya samandri tufaan ki waja se aadmi ne phir
poocha aur tumhare dada ka kaise intaqal hua? mallah ne jawab
dya wo bhi issi tarah fot hue they aadmi ne poocha iske bawajud
bhi tumhain kashti se Dar nahi lagta? mallah ne aadmi se sawal
kya janaab aap ke walid sahab kahan fot hue? aadmi ne kaha bistar
par,mallah ne phir dada k mutalaq pucha to uss aadmi ne kaha k wo
bhi bistar par hi guzar gaye, iss par mallah ne barjusta poocha
Aap ko bistar par sone se Dar nahi lagta....
"Urdu hikayatain, hikayat"
sunehri hikayatein , sunehre huruf , danayi ki batain
Urdu hikayat pix

No comments:

Post a Comment