urdu poetry |
Andhi aankhon mein'khwab kya honge'
un mein roshan shahaab kya honge
jis ke sar par na aasman Thehra
uss ke sar par sahaab kya honge
jo na behkey kabhi jwani mein
uss pe utre shahaab kya honge
tujh ko chaaha teri ibadat ki
is se baRh kar sawab kya honge
tan ki belon pe hai khizan chaayi
man mein khilte gulaab kya honge
yun na mangein rifaqaten tujh se
jaante they jawaab kya honge
chand lamhey wisaal ke basit
in se sehra seraab kya honge
'urdu shayari'
un mein roshan shahaab kya honge
jis ke sar par na aasman Thehra
uss ke sar par sahaab kya honge
jo na behkey kabhi jwani mein
uss pe utre shahaab kya honge
tujh ko chaaha teri ibadat ki
is se baRh kar sawab kya honge
tan ki belon pe hai khizan chaayi
man mein khilte gulaab kya honge
yun na mangein rifaqaten tujh se
jaante they jawaab kya honge
chand lamhey wisaal ke basit
in se sehra seraab kya honge
'urdu shayari'
No comments:
Post a Comment