Na main yun dar badar phirta na tum khudko saza dete
ye accha tha ke hum donon zamane ko bhula dete
Wahi chehra wahi aankhen wahi chahat wahi khushboo
koi gar jhankta dil mein teri surat dikha dete
kisi ko hum batate kya kisi se ja ke kehte kya
tumhare piyar ki batain hansi mein kyon uRa dete
bohat accha huwa mehfil mein ruswai na ho pai
ke ro dete khushi se hum agar tum muskara dete
ye behtar hai k dard apna chupa hai apne seene mein
wagar na 'SAAD' dushman bhi bohat usko hawa dete
'Saadullah shah shayari'

Saadullah shah shayari |
No comments:
Post a Comment